اردو हिंदी
Har ek aankh ko kuchh TuTe KHwab de ke gaya | Shaahi Shayari
har ek aankh ko kuchh TuTe KHwab de ke gaya

Ghazal

Har ek aankh ko kuchh TuTe KHwab de ke gaya

Hakeem Manzoor

;

har ek aankh ko kuchh TuTe KHwab de ke gaya
wo zindagi ko ye kaisa azab de ke gaya

na de saka mujhe wusat samundaron ki magar
samundaron ka mujhe iztirab de ke gaya

wo kis liye mera dushman tha jaane kaun tha wo
jo aankh aankh musalsal sarab de ke gaya

KHala ke nam ata kar ke chhanw ki miras
mujhe wo jalta hua aaftab de ke gaya

wo peD unchi chaTanon pe ab bhi tanha hain
unhi ko sari mata-e-sahab de ke gaya

har ek lafz mein rakh kar sarab mani ka
har ek hath mein wo ek kitab de ke gaya

main kul hun aur tu juz mein bhi kul hai ai 'manzur'
bichhaDte waqt mujhe ye KHitab de ke gaya