اردو हिंदी
Har din jis par phul khilen wo be-mausam ki Dal nahin main | Shaahi Shayari
har din jis par phul khilen wo be-mausam ki Dal nahin main

Ghazal

Har din jis par phul khilen wo be-mausam ki Dal nahin main

Razzaq Afsar

;

har din jis par phul khilen wo be-mausam ki Dal nahin main
saje na saje har kandhe par paDne wali shaal nahin main

miTTi ka hun pyala lekin pyas mein sab ka hath baTaun
joD len jis mein aarti jhaT se pital ki wo thaal nahin main

KHub KHizan ko is ka pata hai haal-e-zabun bhi mera juda hai
dosh-e-hawa par uDne wale patton sa behaal nahin main

mera muqaddar hath mein mere waqt se mere rishte nate
jhuTi tasalli dene wali koi kitab-e-fal nahin main

baad-e-muKHalif lakh chale par uD nahin pae rangat meri
rang-ba-rang calender par chhapne wala sal nahin main

fankaro ki sunnat hun 'afsar' jo hai dil mein wo hai munh par
phansne wali chaal hai jis mein makDi ka wo jal nahin main