har dhaDkan haijaani thi har KHamoshi tufani thi
phir bhi mohabbat sirf musalsal milne ki aasani thi
jis din us se baat hui thi us din bhi be-kaif tha main
jis din us ka KHat aaya hai us din bhi virani thi
jab us ne mujh se ye kaha tha ishq rifaqat hi to nahin
tab main ne har shaKHs ki surat mushkil se pahchani thi
jis din wo milne aai hai us din ki rudad ye hai
us ka blouse naranji tha us ki sari dhani thi
uljhan si hone lagti thi mujh ko akasr aur wo yun
mera mizaj-e-ishq tha shahri us ki wafa dahqani thi
ab to us ke bare mein tum jo chaho wo kah Dalo
wo angDai mere kamre tak to baDi ruhani thi
nam pe hum qurban the us ke lekin phir ye taur hua
us ko dekh ke ruk jaana bhi sab se baDi qurbani thi
mujh se bichhaD kar bhi wo laDki kitni KHush KHush rahti hai
us laDki ne mujh se bichhaD kar mar jaane ki Thani thi
ishq ki haalat kuchh bhi nahin thi baat baDhane ka fan tha
lamhe la-fani Thahre the qatron ki tughyani thi
jis ko KHud main ne bhi apni ruh ka irfan samjha tha
wo to shayad mere pyase honTon ki shaitani thi
tha darbar-e-kalan bhi us ka naubat-KHana us ka tha
thi mere dil ki jo rani amrohe ki rani thi
Ghazal
Har dhaDkan haijaani thi har KHamoshi tufani thi
Jaun Eliya