har daur mein har ahd mein tabinda rahenge
hum ahl-e-mohabbat hain daraKHshanda rahenge
jo naqsh-e-qadam ahl-e-junun chhoD gae hain
tum lakh miTaoge wo painda rahenge
tum ne wo sitam Dhae hain arbab-e-wafa par
tariKH ke auraq bhi sharminda rahenge
haalat jo mazi mein the wo aaj nahin hain
darpesh jo ab hain wo na aainda rahenge
Dhal jaega ek rose tere husn ka suraj
hum aaj bhi tabinda hain tabinda rahenge
rang apna badalta hai zamana to badal le
hum azmat-e-rafta ke numainda rahenge
sab nam-o-nishan dahr se miT jaenge 'rahi'
kuchh nam hain aise bhi jo painda rahenge
Ghazal
Har daur mein har ahd mein tabinda rahenge
Rahi Shahabi