har dam shagufta-tar jo hansi mein dahan hua
ghunche se pahle gul hua gul se chaman hua
zahid hua asam hua barahman hua
is rah mein rahnuma jo bana rahzan hua
surat badal gai koi pahchanta nahin
aashiq tera watan mein gharib-ul-watan hua
qad sarw nargis aankh dahan ghuncha gul ezar
jalwe se us ke KHana-e-viran chaman hua
ghairon ne baiThne na diya jab kahin mujhe
main anjuman mein muntazim-e-anjuman hua
tab-e-jafa-shiar ki tafrih ke liye
nala mera tarana-e-murgh-e-chaman hua
'mushtaq' sufiyon mein to taib hua tha kal
sunta hun aaj rindon mein tauba-shikan hua
Ghazal
Har dam shagufta-tar jo hansi mein dahan hua
Munshi Bihari Lal Mushtaq Dehlwi