har dam dua-e-ab-o-hawa mangte rahe
nange daraKHt sabz qaba mangte rahe
yaron ka e'tiqad bhi andha tha is qadar
gungi riwayaton se sada mangte rahe
kitni ajib baat thi jab sard raat se
hum dopahar ki garm hawa mangte rahe
karte rahe jo din ke ujalon se ehtiraaz
wo bhi andheri shab mein ziya mangte rahe
kuchh log aise bhi the jo lamhat-e-karb se
aasuda saaton ka pata mangte rahe
Ghazal
Har dam dua-e-ab-o-hawa mangte rahe
Anwar Minai