اردو हिंदी
Har chiz mein aks-e-ruKH-e-zeba nazar aaya | Shaahi Shayari
har chiz mein aks-e-ruKH-e-zeba nazar aaya

Ghazal

Har chiz mein aks-e-ruKH-e-zeba nazar aaya

Khwaja Aziz-ul-Hasan Majzuub

;

har chiz mein aks-e-ruKH-e-zeba nazar aaya
aalam mujhe sab jalwa hi jalwa nazar aaya

tu kab kisi talib ko sarapa nazar aaya
dekha tujhe utna jise jitna nazar aaya

kin band jab aankhen to meri khul gain aankhen
kya tum se kahun phir mujhe kya kya nazar aaya

jab mahr numayan hua sab chhup gae tare
tu mujh ko bhari bazm mein tanha nazar aaya

gardun ko bhi ab dekh ke hoti hai tasalli
ghurbat mein yahi ek shanasa nazar aaya

sab daulat-e-kaunain jo di ishq ke badle
is bhao ye sauda mujhe sasta nazar aaya

nakaam hi ta-umr raha talib-e-didar
har jalwa tera baad ko parda nazar aaya

jo dur nigahon se sar-e-arsh-e-barin hai
wo nur sar-e-gumbad-e-KHazra nazar aaya

majzub' kabhi soz kabhi saz hai tujh mein
tu 'mir' kabhi aur kabhi 'sauda' nazar aaya

majzub' ke jazbe ki jo samjhe na haqiqat
un aql ke andhon ko ye sauda nazar aaya