har-chand teri yaad junun-KHez bahut hai
main jag raha hun ki hawa tez bahut hai
kyun kar na mere tan se chhalak jae KHamoshi
paimana-e-jaan zabt se labrez bahut hai
kya koh-e-giran Thahre teri rahguzar mein
ai husn teri ek hi mahmez bahut hai
ek chand ki kashti hi nahin Dubne wali
warna wo samundar to bala-KHez bahut hai
gul-dan se lagte hi bikhar jati hai titli
goya ye rag-e-sang bhi KHun-rez bahut hai
palkon pe koi phul nahin hai to ajab kya
kahne ko to miTTi meri zarKHez bahut hai
tum KHud sa samajh kar na ise hath lagana
wo KHak ka putla hi sahi tez bahut hai
dharna hai kahin to ye giran-bari-e-KHatir
zanu jo nahin sar ke liye mez bahut hai
kya hai jo kaTore ke bhi pairak nahin hum
jine ko to ye hila-e-tabrez bahut hai
'tabish' jo guzarti hi nahin sham ki had se
sochen to wahin raat sahar-KHez bahut hai
Ghazal
Har-chand teri yaad junun-KHez bahut hai
Abbas Tabish