har-chand tere gham ka sahaara bhi nahin hai
jine ke alawa koi chaara bhi nahin hai
har rose kiye jati hai ye zist taqaze
kya qarz tha jo hum ne utara bhi nahin hai
pahle to ye maujen bhi himayat mein khaDi thin
ab mera madad-gar kinara bhi nahin hai
jata bhi nahin chhoD ke wo mujh ko akela
aur sath mera us ko gawara bhi nahin hai
kuchh apne muqaddar ko bigaDa bhi hamin ne
kuchh apne muafiq ye sitara bhi nahin hai
hoti thi jise dekh ke sarshaar tabiat
aankhon mein wo sarsabz nazara bhi nahin hai
ye baat alag jit ke aasar nahin hain
is marka-e-jaan ko wo haara bhi nahin hai
har koi 'salim' us ka muKHalif hai jahan mein
aur koi KHilaf us ke saf-ara bhi nahin hai
Ghazal
Har-chand tere gham ka sahaara bhi nahin hai
Saleem Faraz