har-chand mera shauq-e-safar yun na rahega
kya KHar sar-e-rahguzar yun na rahega
mumkin hai teri yaad sulagti rahe ta-umr
ye shoala sharar-bar magar yun na rahega
is dhup mein meri bhi jhulas jaengi aankhen
tera bhi ruKH-e-ghuncha-e-tar yun na rahega
mauqa hai gul-o-barg saja lo sar-e-mizhgan
har fasl mein sarsabz shajar yun na rahega
kuchh sher raqam karte chalo lauh-e-junun par
har daur mein ye kar-e-hunar yun na rahega
kuchh log mere baad bhi rah jaenge lekin
sahra mein koi KHak-ba-sar yun na rahega
KHush aae 'salim' aaj use meri asiri
kal tak magar afsun ka asar yun na rahega
Ghazal
Har-chand mera shauq-e-safar yun na rahega
Saleem Faraz