اردو हिंदी
Har-chand mera gham gham-e-nadida raha hai | Shaahi Shayari
har-chand mera gham gham-e-nadida raha hai

Ghazal

Har-chand mera gham gham-e-nadida raha hai

Arif Abdul Mateen

;

har-chand mera gham gham-e-nadida raha hai
saya sa magar ruh pe larzida raha hai

chubhte hi rahe KHar-e-alam dast-e-talab mein
rahat wo gul-e-jaan hai ki na-chida raha hai

Dube hain yahan kitni umangon ke safine
tufan ka maskan dil-e-shorida raha hai

bazicha-e-firdaus se kya bahlega wo dil
mearaj-e-tarab par bhi jo ranjida raha hai

ai manzil-e-nau-yafta main tere nishan tak
jis raste se pahuncha hun wo pechida raha hai

tashwish ke in ramnon se guzra hun akela
ehsas jahan KHauf se ram-dida raha hai

kaTe hain wo sahra-e-tamanna tan-e-tanha
'arif' bhi jahan nazron se poshida raha hai

taskin ke bahrup mein ab jaga hai wo hashr
barson mere pahlu mein jo KHwabida raha hai