har-chand mere haal se wo be-KHabar nahin
lekin wo be-kali jo idhar hai udhar nahin
aawaz-e-raftagan mujhe lati hai is taraf
ye rasta agarche meri rahguzar nahin
chamki thi ek barq si phulon ke aas-pas
phir kya hua chaman mein mujhe kuchh KHabar nahin
kuchh aur ho na ho chalo apna hi dil jale
itna bhi apni aah mein lekin asar nahin
aati nahin hai in se shanasai ki mahak
ye mere apne shahr ke diwar-o-dar nahin
'basir' jaga diya hai tumhein kis ne aadhi raat
is dasht mein to nam-o-nishan-e-sahar nahin
Ghazal
Har-chand mere haal se wo be-KHabar nahin
Basir Sultan Kazmi