اردو हिंदी
Har-chand ki wo jawan nahin hum | Shaahi Shayari
har-chand ki wo jawan nahin hum

Ghazal

Har-chand ki wo jawan nahin hum

Mushafi Ghulam Hamdani

;

har-chand ki wo jawan nahin hum
itne bhi to na-tawan nahin hum

qimat hai hamari ek tabassum
is nirKH pe kuchh giran nahin hum

hain kunj-e-qafas ke rahne wale
parwarda-e-ashiyan nahin hum

kyun dar pe rahen hamesha baiThe
kuchh aap ke pasban nahin hum

taswir kisi ki dekhte hain
mahw-e-gul-o-bostan nahin hum

gar aankh zara bhi tu ne pheri
to gardish-e-asman nahin hum

hathon se tere bahaar-e-KHubi
sharminda-e-barg-e-pan nahin hum

tum tak bhi pahunch rahenge aaKHir
kuchh dur to ham-rahan nahin hum

kis roz jarahaton pe dil ki
ashkon se namak-fishan nahin hum

majlis se kare hai hum ko bahar
goya ki mizaj-dan nahin hum

sae se hamare itni nafrat
kafir bhi to ai butan nahin hum

hai chaar taraf hamara jalwa
DhunDe jo koi kahan nahin hum

yani ki barang-e-nikhat-e-gul
parde mein hain aur nihan nahin hum

milta hai har ek se 'mushafi' yar
samjhe hai ki bad-guman nahin hum