اردو हिंदी
Har-chand ki tha hijr mein andesha-e-jaan bhi | Shaahi Shayari
har-chand ki tha hijr mein andesha-e-jaan bhi

Ghazal

Har-chand ki tha hijr mein andesha-e-jaan bhi

Prem Kumar Nazar

;

har-chand ki tha hijr mein andesha-e-jaan bhi
aaKHir ko to hum se hi uTha bar-e-giran bhi

ek gosha-e-dar rakkha hai mahfuz hamara
is wusat-e-kaunain mein hum jaen jahan bhi

madum bhi hun ahl-e-tamasha ki nazar mein
bikhra hai har ek samt magar mera nishan bhi

kuchh kam na hua rizq KHuda tere gada par
har chand ki galiyon mein uTha shor-e-sagan bhi

kaam aati hai akasr to yahi KHana-badoshi
rakhne ko to hum shahr mein rakhte hain makan bhi

us waqt ajab hota hai tarsil ka aalam
lafzon ko taras jate hain jab ahl-e-zaban bhi