har-chand ki saghar ki tarah josh mein rahiye
saqi se mile aankh to phir hosh mein rahiye
kuchh us ke tasawwur mein wo rahat hai ki barson
baiThe yunhi is wadi-e-gul-posh mein rahiye
ek sada tabassum mein wo jadu hai ki pahron
Dube hue ek naghma-e-KHamosh mein rahiye
hoti hai yahan qadr kise dida-wari ki
aankhon ki tarah apne hi aaghosh mein rahiye
Thahrai hai ab haal-e-gham-e-dil ne ye surat
masti ki tarah dida-e-mai-nosh mein rahiye
himmat ne chalan ab ye nikala hai ki chubh kar
kanTe ki tarah pa-e-talab-kosh mein rahiye
aasuda-dili ras nahin arz-e-suKHan ko
hai shart ki dariya ki tarah josh mein rahiye
Ghazal
Har-chand ki saghar ki tarah josh mein rahiye
Shaanul Haq Haqqi