har-chand ki dekhe hai wo pyar ki aankhon se
par nikle hai be-rangi us par ki aankhon se
shiddat se laga hansne ahwal pe gar mere
aansu bhi kabhi Tapke makkar ki aankhon se
be-taqati-e-dil ka kya sharh-o-bayan kijiye
bimari numayan hai bimar ki aankhon se
hai tegh-e-nigah khinche shamshir-ba-kaf mizhgan
ab jite nahin bachte KHun-KHar ki aankhon se
lakhon hi ki aankhon se aankhon teri behtar hain
kya achchhi hain ai pyase wo chaar ki aankhon se
mat ahl-e-dilon se kar ham-chashmi ai aaine
ghafil na mila aankhen bedar ki aankhon se
har tarah se dekha wo dekh hi leta hai
tayyari kare kya koi ayyar ki aankhon se
itni bhi rasai ho 'joshish' to ghanimat hai
KHak-e-kaf-e-pa maliye dil-dar ki aankhon se
Ghazal
Har-chand ki dekhe hai wo pyar ki aankhon se
Joshish Azimabadi