har-chand jaisa socha tha waisa nahin hua
lekin kaha hua ka bhi pura nahin hua
tum ek gard-e-baad the chakra ke rah gae
hum se bhi par zat ka sahra nahin hua
KHushbu kahin to phul hawa le uDi kahin
yun muntashir kisi ka qabila nahin hua
sau waswason ki gard barasti rahi magar
dil aisa aaina tha ki maila nahin hua
patthar the hum so daulat-e-ehsas mil gai
luT kar bhi kar-e-dil mein KHasara nahin hua
guzre dinon ka rup thi is rut ki dhup bhi
so is baras bhi gham ka mudawa nahin hua
logon pe khul chuke the madari ke gur 'najib'
so koi bhi asir-e-tamasha nahin hua

Ghazal
Har-chand jaisa socha tha waisa nahin hua
Najeeb Ahmad