اردو हिंदी
Har-chand dur dur wo husn-o-jamal hai | Shaahi Shayari
har-chand dur dur wo husn-o-jamal hai

Ghazal

Har-chand dur dur wo husn-o-jamal hai

Hamid Allahabadi

;

har-chand dur dur wo husn-o-jamal hai
ai wusat-e-nigah tera kya KHayal hai

duniya-e-ab-o-gil mein masarrat ki aarzu
aisi hai jaise aap ka pana muhaal hai

lo subh-e-inqalab ka bhi aasra gaya
ab karobar-e-zist tera kya KHayal hai

virani-e-hayat ko phir tul dijiye
ye meri zindagi ka muqaddam sawal hai

duniya ne us ko jaan ke jaana nahin abhi
'hamid' jo ek shair-e-sad-KHasta-haal hai