اردو हिंदी
Har-chand bhulata hun bhulaya nahin jata | Shaahi Shayari
har-chand bhulata hun bhulaya nahin jata

Ghazal

Har-chand bhulata hun bhulaya nahin jata

Talib Baghpati

;

har-chand bhulata hun bhulaya nahin jata
ek naqsh-e-taKHayyul hai miTaya nahin jata

main ne jo kaha dard baDhaya nahin jata
kahne lage nadan jataya nahin jata

ummid ki kashti ko sahaara to laga do
mana ki tumhein sath biThaya nahin jata

wo dagh-e-mohabbat ka nishan puchh rahe hain
haalanki samajhte hain dikhaya nahin jata

ab un ka taqaza hai kahani nahin kahte
jab qissa-e-gham hum se sunaya nahin jata

iza-talabi ki koi had ho to jafa ho
ab wo bhi hain majbur sataya nahin jata

tum aaoge aur shab ko zara soch ke kahte
tum se to tasawwur mein bhi aaya nahin jata

'talib' meri baaten unhen bawar nahin aatin
dil chir ke pahlu ko dikhaya nahin jata