har-chand be-nawa hai kore ghaDe ka pani
diwan 'mir' ka hai kore ghaDe ka pani
uplon ki aag ab tak hathon se jhankti hai
aankhon mein jagta hai kore ghaDe ka pani
jab mangte hain sare angur ke sharare
apni yahi sada hai kore ghaDe ka pani
kaghaz pe kaise Thahren misre meri ghazal ke
lafzon mein bah raha hai kore ghaDe ka pani
KHana-ba-dosh chhori takti hai chori chori
us ka to aaina hai kore ghaDe ka pani
chiDiyon si chahchahaen panghaT pe jab bhi sakhiyan
chup-chap ro diya hai kore ghaDe ka pani
us ke lahu mein shayad tasir ho wafa ki
jis ne kabhi piya hai kore ghaDe ka pani
izzat zamir mehnat danish hunar mohabbat
lekin kabhi bika hai kore ghaDe ka pani
dekhun jo chandni mein lagta hai mujh ko 'aslam'
pighli hui dua hai kore ghaDe ka pani
Ghazal
Har-chand be-nawa hai kore ghaDe ka pani
Aslam Kolsarii