har-chand apne aks ka dil dardmand ho
aaine ke labon pe agar zahr-e-KHand ho
be-mehr aaftab ka darwaza band ho
aandhi zara thame to ghaTa sar-buland ho
har lamha us ki madh-sarai na kijiye
mumkin hai aisi baat use na-pasand ho
har gam hauslon ka yahi muddaa raha
gumrah zindagi ki masafat do-chand ho
'aKHtar' main iKHtilaf ka qail nahin magar
ahbab ka mizaj hi jab shar-pasand ho

Ghazal
Har-chand apne aks ka dil dardmand ho
Sultan Akhtar