har chand amradon mein hai ek rah ka maza
ghair-az-nisa wale na mila chah ka maza
KHatre se us ke kar nahin sakta main aah bhi
leta hun ji hi ji mein sada aah ka maza
apni to umr roz-e-siyah mein guzar gai
dekha kabhi na hum ne shab-e-mah ka maza
billah kah ke us ne qasam khai thi kahin
wallah bhulta nahin billah ka maza
bose ke jo sawal pe us ne kaha tha wah
ab tak phire hai dil mein wahi wah ka maza
lazzat ko us ke samjhen hain kya sahib-e-wara
koi puchhe ahl-e-fisq se to bah ka maza
kya wo bhi din the KHub ki luTen the 'mushafi'
hum bhi nazara-e-gah-o-be-gah ka maza
Ghazal
Har chand amradon mein hai ek rah ka maza
Mushafi Ghulam Hamdani

