har but yahan TuTe hue patthar ki tarah hai
ye shahar to ujDe hue mandar ki tarah hai
main tishna-e-didar ki jhonka hun hawa ka
wo jhil mein utre hue manzar ki tarah hai
kam-zarf zamane ki hiqarat ka gila kya
main KHush hun mera pyar samundar ki tarah hai
is charKH ki taqdis kabhi raat ko dekho
ye qabr pe phaili hui chadar ki tarah hai
main sang-e-tah-e-ab ki surat hun jahan mein
aur waqt bhi soe hue sagar ki tarah hai
rote hain bagule mere daman se lipaT kar
sahra bhi tabiat mein mere ghar ki tarah hai
ashaar mere dard ki KHairaat hain 'aKHtar'
ek shaKHs ye kahta tha ki gham zar ki tarah hai
Ghazal
Har but yahan TuTe hue patthar ki tarah hai
Akhtar Imam Rizvi