اردو हिंदी
Har bure waqt ke afaal badal deta hai | Shaahi Shayari
har bure waqt ke afaal badal deta hai

Ghazal

Har bure waqt ke afaal badal deta hai

Ali Muzammil

;

har bure waqt ke afaal badal deta hai
ishq danaon ke aqwal badal deta hai

barg-e-jaan haiat-e-ajza ka pareshan sa juz
dekhte dekhte ashkal badal deta hai

waqt bedar magar hai to taghayyur ka asir
jo badalna ho ba-har-haal badal deta hai

ek zara sabr ki parwaz ka KHaliq yak-dam
waqt aane pe par-o-baal badal deta hai

koi majzub-e-ilah jazb-o-junun mein aa kar
kurra-e-arz ke abdal badal deta hai

hath aa jae agar nusKHa-e-aqawal-e-'ali'
ek ek qaul-e-mah-o-sal badal deta hai