اردو हिंदी
Har be-KHata hai aaj KHata-kar dekhna | Shaahi Shayari
har be-KHata hai aaj KHata-kar dekhna

Ghazal

Har be-KHata hai aaj KHata-kar dekhna

Imtiyaz Saghar

;

har be-KHata hai aaj KHata-kar dekhna
sachchaiyon pe jhuT ki yalghaar dekhna

taqdir ban na jae shab-e-tar dekhna
bujhne ko hai charagh sar-e-dar dekhna

maqtul ki jabin pe hai qatil likha hua
kya faisla ho kal sar-e-darbar dekhna

hoga bahut shadid tamazat ka intiqam
sae se mil ke roegi diwar dekhna

in pattharon ke sae mein rukna fuzul hai
be-barg-o-be-samar hain ye kohsar dekhna

is shahr-e-arzu ko nazar kis ki kha gai
maqtal bane hain kucha-o-bazar dekhna

kuchh din agar ye mausam-e-wahshat-asar raha
har aadmi ko be-dar-o-diwar dekhna

deta hun kaise jaan sar-e-jada-e-wafa
mujh ko na dekhna mera pindar dekhna

KHun-e-jigar se likhta hun 'saghar' main harf-e-haq
waqt aae to qalam ko bhi talwar dekhna