har badan ko ab yahan aisa gahan lagne laga
jis ko dekho ab wahi be-pairahan lagne laga
jab se Dhaala hai sitaron mein nigah-e-shauq ko
chand se baDh kar tumhaara bankpan lagne laga
meri jaanib pyar se dekhe na koi ek nazar
halqa-e-ahbab teri anjuman lagne laga
zinda lashon ki tarah lagne lagi insaniyat
pairahan ab aadamiyat ka kafan lagne laga
main ne rakkha hai hamesha apni dharti ka bharam
is liye bhi mujh se wo charKH-e-kuhan lagne laga
main ne rakha tha jahan par phul tere nam ka
is zamin ka utna hissa ab chaman lagne laga
jab se sachchai ke raste ko kiya hai muntaKHab
nok-e-KHanjar se chhidda apna badan lagne laga
rafta rafta nok-e-KHama par hawas chhane lagi
dhire dhire raegan kar-e-suKHan lagne laga
ye jo bandha hai gareban se junun ke hath ko
ahl-e-danish ko magar diwana-pan lagne laga
jis gulistan par lahu chhiDka tha hum ne ai 'nabil'
Dali Dali aaj wo ek dasht-e-ban lagne laga
Ghazal
Har badan ko ab yahan aisa gahan lagne laga
Nabeel Ahmad Nabeel