har baat teri jaan-e-jahan man raha hun
ab KHak-e-rah-e-kahkashan chhan raha hun
asnam se derina talluq ki badaulat
main kufr ka har daur mein iman raha hun
duniya se laDai to azal hi se rahi hai
ab KHud se jhagaDne ki bhi main Than raha hun
ab tak to shab-o-roz kuchh is tarah kaTe hain
jis ja bhi raha apna hi mehman raha hun
mansab ye mujhe jabr-e-mashiyat se mila hai
chalti hui lashon ka nigahban raha hun
wo sher hun jis ko abhi sochega zamana
likkha na gaya jis ko wo diwan raha hun
be-taj hun be-taKHt hun be-mulk-o-hukumat
han nam ka lekin main 'sulaiman' raha hun
Ghazal
Har baat teri jaan-e-jahan man raha hun
Sulaiman Areeb