har baat jo na hona thi aisi hui ki bas
kuchh aur chahiye tujhe ai zindagi ki bas
jo din nahin guzarna the wo bhi guzar gae
duniya hai hum hain aur hai wo bebasi ki bas
jin par nisar naqd-e-sukun naqd-e-jaan kiya
un se mile to aisi nadamat hui ki bas
main jis ko dekhta tha uchaTti nigah se
un ki nigah mujh pe kuchh aisi paDi ki bas
manzil samajh ke dar pe main to na ruk saka
KHud mujh se meri zindagi kahti rahi ki bas
wo masale hayat ke jo masale nahin
un masalon se uljha hai yun aadmi ki bas
pahuncha jahan bhi log ye kahte hue mile
tahzib apne shahr ki aisi miTi ki bas
duniya gharib jaan ke hansti thi 'mir' par
'iqbaal' mujh pe aise ye duniya hansi ki bas
Ghazal
Har baat jo na hona thi aisi hui ki bas
Iqbal Umar