har bar naya le ke jo fitna nahin aaya
is umr mein aisa koi lamha nahin aaya
hun ghar mein ki ahbab mein matub rahe hum
kuchh hum se na aaya to dikhawa nahin aaya
aaluda kabhi gard-e-talab se na hue hum
honTon pe kabhi harf-e-tamanna nahin aaya
ye bhi hai ki mauzun na thi duniya ki rawish bhi
kuchh hum se bhi jine ka saliqa nahin aaya
chhoDa to na tha hum ne sawalon ka koi hal
thi jis ki tawaqqo wo natija nahin aaya
nilam na kar di ho kahin pyas ki ghairat
is bar koi kufe se pyasa nahin aaya
ek shaKHs paheli ki tarah sath tha mere
main shahr se nikla to akela nahin aaya
Ghazal
Har bar naya le ke jo fitna nahin aaya
Nashtar Khaanqahi