اردو हिंदी
Har bar hua hai jo wahi to nahin hoga | Shaahi Shayari
har bar hua hai jo wahi to nahin hoga

Ghazal

Har bar hua hai jo wahi to nahin hoga

Aalok Shrivastav

;

har bar hua hai jo wahi to nahin hoga
Dar jis ka satata hai abhi to nahin hoga

duniya ko chalo parkhen nae dost banaen
har shaKHs zamane mein wahi to nahin hoga

wo shaKHs baDa hai to ghalat ho nahin sakta
duniya ko bharosa ye abhi to nahin hoga

hai us ka ishaara bhi samajhne ki zarurat
hoga to kabhi hoga abhi to nahin hoga

do-chaar gaDe murde ukhaDenge kisi roz
har bar naya jhagDa kabhi to nahin hoga

kuchh aur bhi ho sakta hai taqrir ka matlab
jo aap ne samjha hai wahi to nahin hoga

har bar zamane ka sitam hoga mujhi par
han main hi badal jaun kabhi to nahin hoga