اردو हिंदी
Har bar hi main jaan se jaane mein rah gaya | Shaahi Shayari
har bar hi main jaan se jaane mein rah gaya

Ghazal

Har bar hi main jaan se jaane mein rah gaya

Umair Manzar

;

har bar hi main jaan se jaane mein rah gaya
main rasm-e-zindagi jo nibhane mein rah gaya

aata hai meri samt ghamon ka naya hujum
allah main ye kaise zamane mein rah gaya

wo mausam-e-bahaar mein aa kar chale gae
phulon ke main charagh jalane mein rah gaya

sathi mere kahan se kahan tak pahunch gae
main zindagi ke naz uThane mein rah gaya

dar o rasan sajae gae jis ke waste
ek aisa shaKHs mere zamane mein rah gaya

baDhte chale gae jo wo manzil ko pa gae
main pattharon se panw bachane mein rah gaya