اردو हिंदी
Har ashk teri yaad ka naqsh-e-kaf-e-pa hai | Shaahi Shayari
har ashk teri yaad ka naqsh-e-kaf-e-pa hai

Ghazal

Har ashk teri yaad ka naqsh-e-kaf-e-pa hai

Takht Singh

;

har ashk teri yaad ka naqsh-e-kaf-e-pa hai
har aah tere pa-e-tasawwur ki sada hai

har zarra mein har phul mein aaina paDa hai
har samt tere aks ka mahshar sa bapa hai

ek an-suni aawaz si aati hai kahin se
ek paikar-e-mauhum sar-e-dosh-e-hawa hai

yun jhil mein zau-rez tera saya hai mano
pani ki anguThi mein nagina sa jaDa hai

pabandi-e-adab se hushiyar ki is mein
har qahqaha nauka ki tarah Dub chuka hai

rahta tha jahan dil mein tere pyar ka panchhi
us shaKH par ab ujDa hua ghonsla sa hai

shayad yahi shoala his-e-baatil ki KHabar le
ai dost sar-e-dar dhuan sa to uTha hai

shayad main sar-e-chashma-e-anwar khaDa hun
hairan hun ta pa-e-nazar chand sa kya hai

wo rang tasawwur hai ki har zarra-e-jaan se
ek ajnabi sa chehra mujhe ghur raha hai

kyun phail chala bazm-e-tamanna mein dhuan sa
kyun teri mohabbat ka diya bujh sa gaya hai