har anjuman mein dawa-e-wahsaht kiya karo
kuDhta ho ji to logon se nafrat kiya karo
jin doston ke bal pe sajate ho bazm-e-KHas
in sab ki ehtiyat se ghibat kiya karo
tauba karo jo subh mein TuTe badan ki shaKH
shab mein bayan mai ki fazilat kiya karo
ghar se chalo to zeb karo tauq-e-buzdili
ghar mein raho to azm-e-shujaat kiya karo
karte raho harifon se elan-e-sar-kashi
lekin milo to un ki itaat kiya karo
dilli mein ham-nashinon se 'sufi' KHuda bachae
bas dur rah ke apni hifazat kiya karo
Ghazal
Har anjuman mein dawa-e-wahsaht kiya karo
Saghir Ahmad Sufi