har aks KHud ek aaina hai
har saya zaban se bolta hai
ehsas ki talKHiyon mein Dhal kar
dil dard ka chand ban gaya hai
sunta ho koi to har kali ke
khilne mein shikast ki sada hai
yun aati hai teri yaad ab to
jaise koi dur ki sada hai
goya the to koi bhi nahin tha
ab chup hain to shahr dekhta hai
aajiz hai ajal bhi us ke aage
jo misl-e-saba bikhar gaya hai
tu silsila-e-sawal ban kar
kyun zehnon ke ban mein gunjta hai
qurbat teri kis ko ras aai
aaine mein aks kanpta hai
jite hain rawayatan 'raza' hum
is daur mein zindagi saza hai
Ghazal
Har aks KHud ek aaina hai
Raza Hamdani