har adawat ki ibtida hai ishq
ki mohabbat ki intiha hai ishq
lo zuleKHa ko kab hua hai ishq
kis qadar taqat-azma hai ishq
falak o muddai o yar o ajal
sab bhale hain magar bura hai ishq
dekhiye is ka hoga kya anjam
ab KHuda se hamein hua hai ishq
ho chuka hum se kuchh jo hona tha
tu ne ye haal kya kiya hai ishq
wamiq-o-qais-o-kohkan kya the
ajal-o-afat-o-bala hai ishq
dekhna shauq-o-sharm ka shewa
husn-e-KHud-bin hai KHud-numa hai ishq
kaun jaane tha us ka nam-o-numud
meri barbaadi se bana hai ishq
dil karo KHun to kya hai dildari
jaan jati rahe to kya hai ishq
gham-zadai mein gham-faza kya kuchh
dil-ruba ya na jaan-ruba hai ishq
ba-wafa wo hain bewafa hai husn
bewafa hum hain ba-wafa hai ishq
ghamza sa ghamza gham mein karta hai
kuchh se kuchh ab to ho gaya hai ishq
kaise kaison ki us ne li hai jaan
dekhna kya hi KHush-ada hai ishq
kyun ke matam na ab wafa ka rahe
mere marte hi mar miTa hai ishq
dekhna marg-o-zist ke jhagDe
jaan-faza husn-o-jaan-guza hai ishq
waisa hi hai farishta jaisi ruh
ai 'qalaq' tera aashna hai ishq
Ghazal
Har adawat ki ibtida hai ishq
Ghulam Maula Qalaq