har ada tund aur nabaat us ki
dil mein khubti hai baat baat us ki
jaan di jis ne tere qadmon mein
ho gai maut bhi hayat us ki
dil-e-marhum ka to zikr hi kya
tum the le-de ke kaenat us ki
mar gaya dil wafa ke dhoke mein
na suni tum ne wardat us ki
na gaya shaiKH ka junun-e-bahisht
na hui mar ke bhi najat us ki
zarra jo teri bargah mein hai
subh us ki din us ka raat us ki
tum bhi 'tabish' ko jaante hoge
husn mazhab hai ishq zat us ki
Ghazal
Har ada tund aur nabaat uski
Tabish Siddiqui