اردو हिंदी
Har aawaz zamistani hai har jazba zindani hai | Shaahi Shayari
har aawaz zamistani hai har jazba zindani hai

Ghazal

Har aawaz zamistani hai har jazba zindani hai

Obaidullah Aleem

;

har aawaz zamistani hai har jazba zindani hai
kucha-e-yar se dar-o-rasan tak ek si hi virani hai

kitne koh-e-giran kaTe tab subh-e-tarab ki did hui
aur ye subh-e-tarab bhi yaro kahte hain begani hai

jitne aag ke dariya mein sab par hamin ko karna hain
duniya kis ke sath aai hai duniya to diwani hai

lamha lamha KHwab dikhae aur sau sau tabir kare
lazzat-e-kam-azar bahut hai jis ka nam jawani hai

dil kahta hai wo kuchh bhi ho us ki yaad jagae rakh
aql ye kahti hai ki tawahhum par jina nadani hai

tere pyar se pahle kab tha dil mein aisa soz-o-gudaz
tujh se pyar kiya to hum ne apni qimat jaani hai

aap bhi kaise shahar mein aa kar shair kahlae hain 'alim'
dard jahan kamyab bahut hai naghmon ki arzani hai