اردو हिंदी
Har aankh lahu sagar hai miyan har dil patthar sannaTa hai | Shaahi Shayari
har aankh lahu sagar hai miyan har dil patthar sannaTa hai

Ghazal

Har aankh lahu sagar hai miyan har dil patthar sannaTa hai

Aziz Qaisi

;

har aankh lahu sagar hai miyan har dil patthar sannaTa hai
ye ganga kis ne paTi hai ye parbat kis ne kaTa hai

chahat nafrat duniya uqba ye KHair KHarabi dard dawa
har dhanda ji ka jokhim hai har sauda jaan ka ghaTa hai

kya jog samadhi-o-rasdhi kya kashf-o-karamat jazb-o-junun
sab aag hawa pani miTTi sab dal namak aur aaTa hai

ye ras rang ye mel milan ek hath mein chand ek mein suraj
ek raat ka mauj maza sara ek din ka sair-sapaTa hai

ghaT ghaT andhera hai kaise bhandhoge kahan nayya apni
aawaz kise doge 'qaisi' chau-dham yahan sannaTa hai