har aankh ka hasil duri hai
har manzar ek masturi hai
jo sud o ziyan ki fikr kare
wo ishq nahin mazduri hai
sab dekhti hain sab jhelti hain
ye aankhon ki majburi hai
is sahil se us sahil tak
kya kahiye kitni duri hai
ye qurb hubab o aab ka hai
ye wasl nahin mahjuri hai
main tujh ko kitna chahta hun
ye kahna ghair-zaruri hai

Ghazal
Har aankh ka hasil duri hai
Saleem Ahmed