har aane wale pal se Dar raha hun
kin andeshon mein ghir kar rah gaya hun
kisi pyasi nadi ki bad-dua hun
samundar tha magar sahra hua hun
bas ab anjam kya hai ye bata do
bahut lambi kahani ho gaya hun
wahi mere liye ab ajnabi hain
main jin ke sath sadiyon tak raha hun
koi anhoni ho jaegi jaise
main ab aisi hi baaten sochta hun
khaDi ho maut darwaze pe jaise
main ghar mein hun magar sahma hua hun
abhi kuchh der pahle chup lagi thi
tumhein hamdard pa kar ro diya hun
main koi shahr hun sadiyon purana
hazaron bar ujDa hun basa hun
mera ab koi mustaqbil nahin hai
main ab mazi mein apne ji raha hun
mujhe shayad bhula pae na duniya
main apne ahd ka ek hadsa hun
salamat hun ba-zahir lekin 'arshad'
main andar se bahut TuTa hua hun
Ghazal
Har aane wale pal se Dar raha hun
Razzaq Arshad