har aan tumhaare chhupne se aisa hi agar dukh paenge hum
to haar ke ek din is ki bhi tadbir koi Thahraenge hum
bezar karenge KHatir ko pahle to tumhaari chahat se
phir dil ko bhi kuchh minnat se kuchh haibat se samjhaenge hum
gar kahna dil ne man liya aur ruk baiTha to bahattar hai
aur chain na lene dewega to bhes badal kar aaenge hum
awwal to nahin pahchanoge aur loge bhi pahchan to phir
har taur se chhup kar dekhenge aur dil ko KHush kar jaenge hum
gar chhupna bhi khul jawega to mil kar afsun-sazon se
kuchh aur hi laTka sehr-bhara us waqt baham pahunchaenge hum
jab wo bhi pesh na jawega aur shohrat howegi phir to
jis surat se ban aawega taswir khincha mangwaenge hum
mauquf karoge chhupne ko to behtar warna 'nazir' aasa
jo haraf zaban par laenge phir wo hi kar dikhlaenge hum
Ghazal
Har aan tumhaare chhupne se aisa hi agar dukh paenge hum
Nazeer Akbarabadi