har aan sitam Dhae hai kya jaaniye kya ho
dil-e-gham se bhi ghabrae hai kya jaaniye kya ho
kya ghair ko DhunDen ki tere kuche mein har ek
apna sa nazar aae hai kya jaaniye kya ho
aankhon ko nahin ras kisi yaad ka aansu
tham tham ke Dhalak jae hai kya jaaniye kya ho
is bahr mein hum jaison pe har mauja-e-pur-KHun
aa aa ke guzar jae hai kya jaaniye kya ho
duniya se nirale hain teri bazm ke dastur
jo aae so pachhtae hai kya jaaniye kya ho
Ghazal
Har aan sitam Dhae hai kya jaaniye kya ho
Zehra Nigaah