اردو हिंदी
Har aan jalwa nai aan se hai aane ka | Shaahi Shayari
har aan jalwa nai aan se hai aane ka

Ghazal

Har aan jalwa nai aan se hai aane ka

Abdul Rahman Ehsan Dehlvi

;

har aan jalwa nai aan se hai aane ka
chalan ye chalte ho aashiq ki jaan jaane ka

qasam qadam ki tere jab talak hai dam mein dam
main panw par se tere sar nahin uThane ka

hamari jaan pe girti hai barq-e-gham zalim
tujhe to sahl sa hai shaghl muskurane ka

qasam KHuda ki main kuchh kha ke so rahunga sanam
jo sath apne nahin mujh ko tu sulane ka

nasib us ke sharab-e-bahisht howe mudam
hua hai jo koi mujid sharab-KHane ka

bahut se KHun-KHarabe machenge KHana-KHarab
yahi hai rang agar tere pan khane ka

hamari chhati pe phirta hai sanp yan 'ehsan'
wahan hai shaghl use zulf ke banane ka