har aaine mein tere KHadd-o-KHal aate hain
ajib ranj tere aashna uThate hain
tamam umr kise kaun yaad rakhta hai
ye jaante hain magar hausla baDhate hain
visal-o-hijr ki sab tohmaten usi tak thin
ab aise KHwab bhi kab dekhne mein aate hain
ye lahr lahr kise DhunDti hai mauj-e-hawa
ye regzar kise aaina dikhate hain
shikast-e-jaan ko abhi e'tibar-e-jaan hai bahut
sarab-e-dasht mein dariya ke KHwab aate hain
agar mile hain wo lamhe to un ki qadr karo
mohabbaton ke ye mausam guzar bhi jate hain
jo mil gae hain unhen bhulna zaruri hai
mile nahin hain jo chehre wo yaad aate hain
guzar rahi hai yunhi sham-e-zindagi 'sajid'
ki ek charagh jalate hain ek bujhate hain
Ghazal
Har aaine mein tere KHadd-o-Khaal aate hain
Sajid Amjad