اردو हिंदी
Har aaine mein badan apna be-libas hua | Shaahi Shayari
har aaine mein badan apna be-libas hua

Ghazal

Har aaine mein badan apna be-libas hua

Shahid Kabir

;

har aaine mein badan apna be-libas hua
main apne zaKHm dikha kar bahut udas hua

jo rang bhar do usi rang mein nazar aae
ye zindagi na hui kanch ka gilas hua

main kohsar pe bahta hua wo jharna hun
jo aaj tak na kisi ke labon ki pyas hua

qarib hum hi na jab ho sake to kya hasil
makan donon ka har-chand pas pas hua

kuchh is ada se mila aaj mujh se wo 'shahid'
ki mujh ko KHud pe kisi aur ka qayas hua