اردو हिंदी
Har aadmi ko KHwab dikhana muhaal hai | Shaahi Shayari
har aadmi ko KHwab dikhana muhaal hai

Ghazal

Har aadmi ko KHwab dikhana muhaal hai

Zaheer Ghazipuri

;

har aadmi ko KHwab dikhana muhaal hai
shoalon mein jaise phul khilana muhaal hai

kaghaz ki naw bhi hai khilaune bhi hain bahut
bachpan se phir bhi hath milana muhaal hai

insan ki shakl hi mein darinde bhi hain magar
har aks aaine mein dikhana muhaal hai

mushkil nahin utarna suraj ko thaal mein
lekin charagh us se jalana muhaal hai

ek bar KHud jo lafzon ke pinjre mein aa gaya
us tair-e-nawa ko uDana muhaal hai

apne lahu ki bhenT chaDhane ke baad bhi
qadron ki har fasil tak aana muhaal hai

ta-umr apni fikr o riyazat ke bawajud
KHud ko kisi saza se bachana muhaal hai