اردو हिंदी
Har aadmi kahan auj-e-kamal tak pahuncha | Shaahi Shayari
har aadmi kahan auj-e-kamal tak pahuncha

Ghazal

Har aadmi kahan auj-e-kamal tak pahuncha

zafar iqbal zafar

;

har aadmi kahan auj-e-kamal tak pahuncha
uruj had se baDha to zawal tak pahuncha

KHud apne aap mein jhunjhla ke rah gaya aaKHir
mera jawab jab us ke sawal tak pahuncha

ghubar-e-kizb se dhundla raha hamesha jo
wo aaina mere kab KHadd-o-KHal tak pahuncha

chalo na sar ko uTha kar ghurur se apna
gira hai jo bhi bulandi se Dhaal tak pahuncha

jise bharosa nahin tha uDan par apni
wahi parinda shikari ke jal tak pahuncha

tawaf karte rahe sab hi raste mein magar
har ek shaKHs hi gard-e-malal tak pahuncha

meri najat ka hoga 'zafar' wasila wahi
jo lafz nat ka mere KHayal tak pahuncha