haqq-e-neamat ada nahin hota
hum se shukr-e-KHuda nahin hota
kya visal-e-KHuda nahin hota
ishq-e-sadiq se kya nahin hota
be-baha dil ko nazr karta kaun
husn agar dilruba nahin hota
aah par hans ke ye diya tana
yun to nam-e-wafa nahin hota
hun agar lakh bar bhi sadqe
husn ka den ada nahin hota
hijr mein gham-gusar mahram-e-raaz
dard-o-gham ke siwa nahin hota
jo satata hai dil jalata hai
us ka hargiz bhala nahin hota
ishq ka nam muft hai badnam
ishq achchha bura nahin hota
aah se arsh hilta hai ai 'shad'
fazl-e-maula se kya nahin hota
Ghazal
Haqq-e-neamat ada nahin hota
Murli Dhar Shad