haqiqaton se ulajhta raha fasana mera
guzar gaya hai mujhe raund ke zamana mera
samundaron mein kabhi tishnagi ke sahra mein
kahan kahan na phira le ke aab-o-dana mera
tamam shahr se laDta raha meri KHatir
magar usi ne kabhi haal-e-dil suna na mera
jo kuchh diya bhi to mahrumiyon ka zahr diya
wo sanp ban ke chhupae raha KHazana mera
wo aur log the jo mang le gae sab kuchh
yahan to sharam thi dast-e-talab uTha na mera
mujhe tabah kiya iltifat ne us ke
use bhi aa na saka ras dostana mera
kise qubul karen aur kis ko Thukraen
inhen sawalon mein uljha hai tana-bana mera
Ghazal
Haqiqaton se ulajhta raha fasana mera
Shahid Mahuli