haqiqaton se magar munharif raha na gaya
so shahr-e-KHwab se apna bhi aab-o-dana gaya
harif-e-zat ajab the ki umr bhar KHud ko
bura samajhte rahe par bura kaha na gaya
jo muntashir hun to hairat na kar ki dariya mein
bhanwar ke baad kisi lahr mein baha na gaya
ajib lams tha ab ke junun ke hathon mein
qaba-e-rang mein KHushbu se phir raha na gaya
hawa mizaj tere dar-ba-dar rahe ta umr
kisi bhi dasht kisi shahr mein basa na gaya
zamin se uD ke zamin tak pahunch gai aaKHir
sarisht-e-KHak se aflak mein raha na gaya
Ghazal
Haqiqaton se magar munharif raha na gaya
Muzaffar Mumtaz